اردو हिंदी
Ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya | Shaahi Shayari
ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya

Ghazal

Ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya

Mahshar Inayati

;

ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya
aisa bikhra ki ishaara bhi dikhai na diya

kis ke ham-rah nazar aata tha tanha tanha
kis se bachhDa hun ki tanha bhi dikhai na diya

raushni ki wo chaka-chaundh thi aankhon mein ki hum
shahr se nikle to sahra bhi dikhai na diya

sard-mehri-e-zamana ki sulagti hui aag
kya bala thi ki dhuan sa bhi dikhai na diya

un kitabon pe to hum ne bhi kiya hai kuchh kaam
jin mein ek harf-e-tamanna bhi dikhai na diya

bas chale the ki ghubar-e-rah-e-manzil uTTha
chehre wo badle ki apna bhi dikhai na diya

raat bhar KHun ke dariya mein nahaya KHurshid
daman-e-subh pe dhabba bhi dikhai na diya

sara aalam tha ki tarik nazar aata tha
aur 'mahshar' ko dhundlaka bhi dikhai na diya