ghuncha-dahan wahi hai ki gunga kahen jise
hai sarw-qad wo asl mein langDa kahen jise
mashuq chahiye ki ho aisa siyah-fam
majnun miyan bhi dekh ke laila kahen jise
mai ko jo istilah mein kahte hain duKHt-e-raz
wo mughbacha hai rindon ka sala kahen jise
sab jaanwar na hazrat-e-insan se kyun Daren
paida hain us ke peT se hawwa kahen jise
sab ungliyan jhuka ke anguTha uThaiye
ban jaegi wo shakl ki Thenga kahin jise
Ghazal
Ghuncha-dahan wahi hai ki gunga kahen jise
Zareef Lakhnavi