gunahon se nashw-o-numa pa gaya dil
dar-e-puKHta-kari pe pahuncha gaya dil
agar zindagi muKHtasar thi to phir kya
isi mein bahut aish karta gaya dil
ye nannhi si wusat ye nadan hasti
nae se naya bhed kahta gaya dil
na tha koi mabud par rafta rafta
KHud apna hi mabud banta gaya dil
nahin girya o KHanda mein farq koi
jo rota gaya dil to hansta gaya dil
bajae dil ek talKH aansu rahega
agar un ki mahfil mein aaya gaya dil
pareshan raha aap to fikr kya hai
mila jis se bhi us ko bahla gaya dil
kai raaz pinhan hain lekin khulenge
agar hashr ke roz pakDa gaya dil
bahut hum bhi chaalak bante the lekin
hamein baaton baaton mein bahka gaya dil
kahi baat jab kaam ki 'mira-ji' ne
wahin baat ko jhaT se palTa gaya dil
Ghazal
Gunahon se nashw-o-numa pa gaya dil
Meeraji