gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun
main KHud charagh-ba-kaf har andheri raat mein hun
shuur gum hua diwangi hai khoi hui
KHuda hi jaane main kis manzil-e-hayat mein hun
tajalli-e-pas-e-parda zara tawaqquf kar
abhi to garm-e-nazar bazm-e-mumkinat mein hun
sawal ek nazar ka hai rad na kar ai dost
gada-e-KHak-basar rah-e-iltifat mein hun
harif-e-jalwa bhi ek rose hunga sabr karo
abhi to apni bahisht-e-tasawwuraat mein hun
hai teri yaad ka aalam bhi kitna dil-awez
samajh raha hun kisi aur kaenat mein hun
kisi ke dil ka sukun hun kisi ke dil ki KHalish
zamir-e-waqt hun aur qalb-e-kaenat mein hun
hai mere hath mein bhi dil ka ek bujha sa diya
kuchh aansuon ki sajai hui baraat mein hun
hun KHud hi aaina-e-haal kya bataun 'siraj'
main kis ka naqsh-e-qadam arsa-e-hayat mein hun
Ghazal
Gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun
Siraj Lakhnavi