gunah-gar-e-wafa laeq-e-saza likh do
mere KHilaf zamane ka faisla likh do
ghiri hai daera-e-karb-e-agahi mein hayat
isi hisar mein rahne ka hausla likh do
har ek lamha hai nok-e-sinan pe sar apna
mujhe sitam-zada-e-jazba-e-ana likh do
main dusron se bhi kuchh dad-e-zabt-e-gham paun
har ek lab pe mere dil ka muddaa likh do
fana ke dasht mein rahte hue zamana hua
mere junun ko sar-e-wadi-e-baqa likh do
khula mere liye bab-e-asar nahin na sahi
mere labon pe koi be-asar dua likh do
nawah-e-jaan mein kabhi to bahaar aaegi
kabhi to badlegi is dasht ki faza likh do
urus-e-fikr ki sada hatheliyon ke nam
tamam rang-e-shafaq surKHi-e-hina likh do
tumhaare hathon mein shair ka hai qalam ai 'naz'
kitab-e-dil pe mohabbat ka hashiya likh do
Ghazal
Gunah-gar-e-wafa laeq-e-saza likh do
Naz Quadri