اردو हिंदी
Gumrah kah ke pahle jo mujhse KHafa hue | Shaahi Shayari
gumrah kah ke pahle jo mujhse KHafa hue

Ghazal

Gumrah kah ke pahle jo mujhse KHafa hue

Hafeez Banarasi

;

gumrah kah ke pahle jo mujh se KHafa hue
aaKHir wo mere naqsh-e-qadam par fida hue

ab tak to zindagi se taaruf na tha koi
tum se mile to zist se bhi aashna hue

aisa nahin ki dil hi muqabil nahin raha
tir-e-nigah-e-naz bhi aksar KHata hue

meri nazar ne tum ko jamal-e-ashna kiya
mujh ko duaen do ki tum ek aaina hue

kya hoga is se baDh ke koi rabt-e-bahami
manzil hamari wo to hum un ka pata hue

ab kya bataen kis ki nigahon ki den thi
wo mai ki jis ke pite hi hum parsa hue

sunta hun ek maqam-e-ziyarat hai aaj kal
wo zindagi ka moD jahan hum juda hue

wo aa gae dawa-e-gham-e-jaan liye hue
lo aaj hum bhi qail-e-dast-e-dua hue

kab zindagi ne hum ko nawaza nahin 'hafiz'
kab hum pe bab-e-lutf-o-inayat na wa hue