gumrah ho gaya rah-e-hamwar dekh kar
chalna tha dil ko jada-e-dushwar dekh kar
jo sar jhuka tha sang-e-dar-e-yar dekh kar
uncha hua hai phir rasan-o-dar dekh kar
shoridgi-e-sar ko na tha koi mashghala
dil KHush hua hai rah mein diwar dekh kar
kya main kahun ki hath se kyun jam gir paDa
sarshaar ho gaya tujhe sarshaar dekh kar
garche ye daur lafzon ki bazigari ka hai
karta hai waqt faisla kirdar dekh kar
tufan-e-tirgi tha bahut dahshat-afrin
himmat baDhi hai sham-e-ruKH-e-yar dekh kar
dil aur dimagh donon mere ham-safar hain aaj
hairat na kijiye meri raftar dekh kar
'shibli' samand-e-shauq ko mahmez ek lagi
'ghaalib' ki is zamin ko gul-kar dekh kar
Ghazal
Gumrah ho gaya rah-e-hamwar dekh kar
Alqama Shibli