guman toD chuka main magar nahin koi hai
sara-e-fikr mein baiTha hua kahin koi hai
mere KHayal ko deta hai nau-ba-nau chehre
hai aas pas koi lams-e-marmarin koi hai
mera yaqin ki duniya mein hun akela main
sada-e-dil mujhe kahti hai gham-nashin koi hai
teri tabahi mein shamil nahin hai ghair koi
use talash to kar mar-e-astin koi hai
nigah se nahin jata koi KHayal-numa
hawas-o-hosh-o-KHirad ke bahut qarin koi hai
mera tumhaara talluq bigaD ke ban gaya hai
mere tumhaare KHayalat ka amin koi hai
wara-e-zehn-o-zaman kis ne kaenat buni
tu kaise kahta hai koi nahin nahin koi hai
Ghazal
Guman toD chuka main magar nahin koi hai
Abdurrahman Wasif