guman to Thik main kaise kahun yaqin bhi hai
ki mere panw ke niche kahin zamin bhi hai
dilon mein duniya basae hue to phirte ho
KHayal rakhna ki duniya ke sath din bhi hai
hamare jaib-o-gareban mein sanp kya milta
use KHabar hi nahin thi ki aastin bhi hai
taras jo kha ke kisi jaanwar pe shah bane
hujum-e-shah mein koi sabuktagin bhi hai
suKHan-shanas nahin zud-go bhi hai 'jawed'
paDha-likha hi nahin aadmi zahin bhi hai

Ghazal
Guman to Thik main kaise kahun yaqin bhi hai
Khawaja Javed Akhtar