guman tak mein na tha mahw-e-yas kar dega
wo yun milega ki mujh ko udas kar dega
karam karega mere haal par magar pahle
shararatan wo mujhe gham-shanas kar dega
shaguftagi-e-chaman par bahut ghurur na kar
KHizan ka daur tujhe bad-hawas kar dega
gaya wo daur ki jab KHar bhi mahakte the
ye daur wo hai jo phulon ko nas kar dega
wo hadsa jo abhi mere sath guzra hai
sunoge tum to tumhein bhi udas kar dega
use KHabar ki mere donon hath KHali hain
mujhe yaqin hai wo iltimas kar dega
Ghazal
Guman tak mein na tha mahw-e-yas kar dega
Zafar Kaleem