اردو हिंदी
Guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka | Shaahi Shayari
guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka

Ghazal

Guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka

Mamnoon Nizamuddin

;

guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka
jhuka ke aankh sabab kya hai muskurane ka

ye sina hai ye jigar hai ye dil hai bismillah
agar KHayal hai talwar aazmane ka

kisi ke honTh ke milte hi hum tamam hue
maza mila na hamein galiyan bhi khane ka

mujhe ye dard hai malum hukm-e-bulbul bin
na meri KHak pe kar qasd phul lane ka

kiya farefta kah kah ke haal-e-dil us ko
asar fusun se nahin kuchh kam is fasane ka

ghamon ki gar yahi baalidgi hai to aaKHir
dil-e-girafta nahin sine mein samane ka