اردو हिंदी
Guman mehr-e-daraKHshan ka hua hai ru-e-raushan par | Shaahi Shayari
guman mehr-e-daraKHshan ka hua hai ru-e-raushan par

Ghazal

Guman mehr-e-daraKHshan ka hua hai ru-e-raushan par

Nawab Shahjahan Begum Shahjahan

;

guman mehr-e-daraKHshan ka hua hai ru-e-raushan par
tajjub ek aalam ko hai kya kya un ke joban par

paDhi jab fatiha to paDhte paDhte hans diya goya
girai aap ne bijli jab aae mere madfan par

hamara dil dukhana kuchh hansi ya khel samjhe ho
samajh pakDo jawan ho ab na jao tum laDakpan par

suKHan ko aap ke ai hazrat-e-dil kis tarah manun
kisi ko eatibar aata nahin hai qaul-e-dushman par

hamari aankh se girte nahin ye ashk ke qatre
nichhawar karte hain moti tumhaare ru-e-raushan par

nazar mein jaise 'shirin' ke tumhaara ru-e-raushan hai
nahin paDti hai aankh us ki gul-e-shadab-e-gulshan par