اردو हिंदी
Guman ki qaid-e-hisar-e-qayas se niklo | Shaahi Shayari
guman ki qaid-e-hisar-e-qayas se niklo

Ghazal

Guman ki qaid-e-hisar-e-qayas se niklo

Mubarak Ansari

;

guman ki qaid-e-hisar-e-qayas se niklo
kisi tarah se bhi is sabz ghas se niklo

ye shahr-e-sang hai shahr-e-wafa nahin hai ye
agar nikalna hai hosh-o-hawas se niklo

wagarna waqt tumhein hashiye pe rakh dega
yaqin ke sehr se aashob-e-as se niklo

ye kaisa nashsha hai aaKHir jo TuTta hi nahin
koi pukar raha hai gilas se niklo

kahan talak main nigahon ko dun fareb apni
kabhi to gard-e-adam ke libas se niklo

'mubarak' aag ke dariya se bhi guzarna hai
dahakti dhup se sahra ki pyas se niklo