guman ke tan pe yaqin ka libas rahne do
ki mere hath mein KHali gilas rahne do
zamana guzra hai KHushiyon ka sath chhoDe hue
mere mizaj ko ab gham-shanas rahne do
amal ki rut mein panapti hain Tahniyan haq ki
milao sach se nigahen qayas rahne do
wo KHwab ko bhi haqiqat samajh ke jite hain
isi mein KHush hain to ye iltibas rahne do
mila ke hath shayatin se dekhte ho mujhe
ananiyat ko tum apne hi pas rahne do
mujhe na khincho KHushi ke hisar mein ai 'atib'
udas rahna hai mujh ko udas rahne do
Ghazal
Guman ke tan pe yaqin ka libas rahne do
Atyab Ejaz