guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin
ajib rizq-e-KHwab hai zamin ke liye nahin
KHayal jo qadam-kusha hai tere la-shuur mein
ghazal hai magar sabuktagin ke liye nahin
hawaen gosh-bar-sada hain kis ke bab mein KHamosh
nahin diye ki aaya-e-mubin ke liye nahin
use chhupao kushtagan ke dil mein raaz ki tarah
ye tegh-e-abdar aastin ke liye nahin
main ek buDhe falsafi ke KHwab ka amin hun
mere labon ki saKHt angbin ke liye nahin
kamand ko kaman ko abhi se tah na kijiye
ki ye shikar ke liye hain zin ke liye nahin
jo tir uD chala hai wo mere liye hai 'shahryar'
yasar ke liye nahin yamin ke liye nahin
Ghazal
Guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin
Ahmad Shahryar