اردو हिंदी
Guman hadd-e-nazar tak kya tha lekin kya nazar aaya | Shaahi Shayari
guman hadd-e-nazar tak kya tha lekin kya nazar aaya

Ghazal

Guman hadd-e-nazar tak kya tha lekin kya nazar aaya

Raunaq Naeem

;

guman hadd-e-nazar tak kya tha lekin kya nazar aaya
jidhar dariya ki maujen thin udhar sahra nazar aaya

mujhe fursat kahan apni basirat se main ye puchhun
wo kaisa aaina tha kaun sa chehra nazar aaya

samundar band ho kar rah gaya tha jis ki muTThi mein
tajjub hai wo bazigar sarasima nazar aaya

to kya aab-e-rawan se pyas apni dhul nahin sakti
ye kaisa silsila aaKHir sarabon ka nazar aaya

chalo ye bhi dilase ke liye kuchh kam nahin 'raunaq'
makan jab jal gaya tab abr ka TukDa nazar aaya