gum-sum hawa ke peD se lipTa hua hun mein
katbe pe apne hath se likkha hua hun main
aankhon mein waswason ki nai nind bas gai
so jaun ek umr se jaga hua hun main
yarab ragon mein KHun ki hiddat nahin rahi
ya karb ki salib pe laTka hua hun main
apni bulandiyon se girun bhi to kis tarah
phaili hui fazaon mein bikhra hua hun main
patte gire to aur bhi aaseb ban gae
wo shor hai ki KHud se bhi sahma hua hun main
shaKHon se TuTne ki sada dur tak gai
mahsus ho raha hai ki TuTa hua hun main
wo aag hai ki sari jaDen jal ke rah gain
wo zahr hai ki phul se kanTa hua hun main
kaTte hue tane ka bhi nocha gaya libas
gir kar zamin pe aur bhi ruswa hua hun main
'afzal' main sochta hun ye kya ho gaya mujhe
miTTi mili to aur bhi chaTKHa hua hun main
Ghazal
Gum-sum hawa ke peD se lipTa hua hun mein
Afzal Minhas