gum-shuda mausam ka aankhon mein koi sapna sa tha
baadalon ke uDte TukDon mein tera chehra sa tha
phir kabhi mil jae shayad zindagi ki bhiD mein
jis ki baaten pyari thin aur nam kuchh achchha sa tha
jaan-ba-lab hone laga hai pyas ki shiddat se wo
KHushk registan mein ek shaKHs jo dariya sa tha
ghir gaya hai ab to shoalon mein mera sara wajud
us ki yaaden thin to sar par ek KHunuk saya sa tha
us ne achchha hi kiya rishton ke dhage toD kar
main bhi kuchh ukta gaya tha wo bhi kuchh uba sa tha
shahr ki ek ek shai apni jagah par hai 'nazar'
kya hua wo aadmi kuchh kuchh jo diwana sa tha
Ghazal
Gum-shuda mausam ka aankhon mein koi sapna sa tha
Badnam Nazar