gum dhundlakon mein hui rahguzar tere baad
ruk gaya jaise sitaron ka safar tere baad
tab-e-nazzara kahan thi teri jalwat mein hamein
DhunDhti hai teri surat ko nazar tere baad
dekhte dekhte andaz-e-gulistan badla
phul the phul shajar the na shajar tere baad
yun to dekhe the bahut rup jahan ke hum ne
wo bhi ek rup tha jo aaya nazar tere baad
aarzu le ke teri chal to paDe the ghar se
ab ye mushkil hai ki hum jaen kidhar tere baad
fan ko suli pe chaDhaya gaya fankar ke sath
qarya qarya biki namus-e-hunar tere baad
kis qadar tha rag-e-jaan mein tu hamari paiwast
is haqiqat ki hui hum ko KHabar tere baad
hai ye zulmat hi muqaddar to pukaren kis ko
kis se malum karen apni KHabar tere baad
yun faraghat hai har ek kaam se hum ko jaise
KHatm hai silsila-e-sham-o-sahar tere baad
raunaqen tujh se thin sari so tere sath gain
shahar ka shahar hua ek khanDar tere baad
kash ho sakta kisi tarah tujhe bhi malum
haal 'iqbaal' ka hai kitna digar tere baad
Ghazal
Gum dhundlakon mein hui rahguzar tere baad
Iqbal Haidri