gum-ba-KHud begana-e-har-aish-e-mahfil ho gae
un se mil kar aur bhi tanha hum ai dil ho gae
kitni na-manzur qadren thin jo apnani paDin
kitne hi pyare aqaed the jo baatil ho gae
ilm jab kuchh bhi na tha to is qadar jahil na the
ilm kuchh hasil hua to aur jahil ho gae
zindagi ka lutf tufan mein hai tughyani mein hai
haif jo aasuda-e-aghosh-e-sahil ho gae
ye hai mai-KHana adab lazim hai ye masjid nahin
dair se aae saf-e-awwal mein shamil ho gae
kash ye samjhen sitam-keshan-e-newyork ai 'nazir'
koi hai jis ke liye hum un se ghafil ho gae
Ghazal
Gum-ba-KHud begana-e-har-aish-e-mahfil ho gae
Nazeer Muzaffarpuri