gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai
us shoKH ke chalne ki ada aur hi kuchh hai
karti hai KHunuk dil ki tapish baad-e-sahar bhi
lekin tere daman ki hawa aur hi kuchh hai
shayad wo shabab aane se aagah hua hai
palken hain jhukin rang-e-haya aur hi kuchh hai
kis shoKH ne zulfon ko hawa mein hai uDaya
ye tauba-shikan kali-ghaTa aur hi kuchh hai
kahne ko to har fard-o-bashar sab hain barabar
duniya mein magar shor bapa aur hi kuchh hai
bekas ka lahu shoala na ban jae sambhalna
paigham sunati ye hawa aur hi kuchh hai
wo lakh sitam Dhaen kabhi uf na karunga
aafat mera dastur-e-wafa aur hi kuchh hai

Ghazal
Gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai
Lalan Chaudhary