اردو हिंदी
Gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi TuTi hai | Shaahi Shayari
gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi TuTi hai

Ghazal

Gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi TuTi hai

Makhdoom Mohiuddin

;

gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi TuTi hai
kashakash-e-dil-e-paigham-baran bhi TuTi hai

sarab hai ki haqiqat nazara ki fareb
yaqin bhi TuTa hai tarz-e-guman bhi TuTi hai

siyasat-e-dil-aina chur chur to thi
siyasat-e-dil-e-ahan-garan bhi TuTi hai

andheri raat ka ye nim-baz sannaTa
gulon ki sans rag-e-gulsitan bhi TuTi hai

tumhaare jism ka suraj jahan jahan TuTa
wahin wahin meri zanjir-e-jaan bhi TuTi hai

kahan hain aalam-e-imkan wajud mein aaen
nazar nazar hi rahi hai jahan bhi TuTi hai

shikast-o-reKHt zamane ki KHub hai 'maKHdum'
KHudi to TuTi thi KHu-e-butan bhi TuTi hai