gulsitan-e-zindagi mein zindagi paida karo
muskura kar ruh mein kuchh tazgi paida karo
murdani chehre bana kar faeda jine se kya
kam se kam is zindagi mein zindagi paida karo
toD do baDh kar andheri raat ke shaDyantr ko
kuchh nahin to aarzu-e-raushni paida karo
waqt ke be-rahm hathon ne kuchal Dala jinhen
un KHizan-dida gulon mein tazgi paida karo
dekh lena ye jahan jannat-nishan ban jaega
dushmanon se rasm-o-rah-e-zindagi paida karo
sirf aabaadi baDhane se koi hasil nahin
jin mein ho insaniyat wo aadmi paida karo
kaba o kashi alamat hain KHuda ke nur ke
tum gharibon ke gharon mein raushni paida karo
zindagi baKHshi gai hai dard-e-dil ke waste
zindagi mein dard-e-dil ai 'sahni' paida karo
Ghazal
Gulsitan-e-zindagi mein zindagi paida karo
Ashok Sawhny