gulshan mein phul khilte hi sad-chaak ho gae
rangin hadse the alamnak ho gae
daur-e-subu-o-jam chala mai-kade mein jab
hum be-niyaz-e-gardish-e-aflak ho gae
dekha jo mera haal-e-zabun sham-e-intizar
apne to apne ghair bhi namnak ho gae
saqi ye tera faiz-e-karam hai ki mai-gusar
bebak the hi aur bhi bebak ho gae
baad-e-saba ko zid hai ki kyun KHak bhi rahe
mar kar jo ku-e-yar mein hum KHak ho gae
ye inqilab-e-waqt ka eajaz dekhiye
ahl-e-junun bhi sahab-e-idrak ho gae
achchha hua jo 'muslim'-e-diwana chal basa
qisse to dar-o-gir ke ab pak ho gae
Ghazal
Gulshan mein phul khilte hi sad-chaak ho gae
Muslim Ansari