gulshan mein kabhi hum sunte the wo kya tha zamana phulon ka
kaliyon se kahani kaliyon ki phulon se fasana phulon ka
kya mausam-e-gul par itra kar hum gaen tarana phulon ka
do roz mein aane wala hai ek roz zamana phulon ka
ayyam-e-KHizan mein ahl-e-chaman sarsar ko sitam se kya roken
begana hua jab sabza bhi to kaun yagana phulon ka
phir baad-e-saba wo aa pahunchi phir rang khila nikhat phaili
ai luTne walo ab luTo mamur KHazana phulon ka
nazan hai jo apni qismat par gulchin ko ye kya malum nahin
jaegi bahaar aaegi KHizan badlega zamana phulon ka
gulchin se kabhi main sunta hun bulbul se kabhi main kahta hun
is dard-sari ka bais hai dilchasp fasana phulon ka
shaKHen bhi balaen leti hain patte bhi nichhawar hote hain
allah re jawani gulshan ki uf uf re zamana phulon ka
ayyam-e-KHizan mein ai bulbul taklif bahut baDh jaegi
phulon ki qasam deta hun tujhe chheD ab na tarana phulon ka
jab ahl-e-chaman so jate hain to husn ke Daku aate hain
kuchh raat gae kuchh raat rahe luTta hai KHazana phulon ka
murghan-e-qafas ko nind kahan nind aae yahi ummid kahan
gulchin se unhen sunwata hai sayyaad fasana phulon ka
kya zikr-e-chaman kya fikr-e-chaman kya zauq-e-chaman kya shauq-e-chaman
daghon se hamara KHana-e-dil hai daulat-KHana phulon ka
kya KHub mili gul khane ki ye dad hamein mar jaane par
phulon mein hamare chheD diya bulbul ne tarana phulon ka
fitrat ke musafir ko bas mein rakh sakte nahin ashjar-e-chaman
aata hai zamana phulon ka jata hai zamana phulon ka
ai 'nuh' asar itna to kiya tum par bhi chaman ke manzar ne
tufan uThana bhul gae le baiThe fasana phulon ka
Ghazal
Gulshan mein kabhi hum sunte the wo kya tha zamana phulon ka
Nooh Narvi