gulshan mein baDe zor ka tufan uTha hai
jab bhi koi phulon ka nigahban uTha hai
duniya ke badalne ka farishte nahin aae
jab jab bhi uTha hai koi insan uTha hai
sine ke liye daman-e-gul fasl-e-KHizan mein
har bar koi chaak-gareban uTha hai
main is ke siwa kuchh nahin kahta mere saqi
'shaarib' teri mahfil se pasheman uTha hai
Ghazal
Gulshan mein baDe zor ka tufan uTha hai
Sharib Lakhnavi