gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai
jine ke liye is duniya mein gham ki bhi zarurat hoti hai
ai waiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milti hain yahan roz qayamat hoti hai
wo pursish-e-gham ko aae hain kuchh kah na sakun chup rah na sakun
KHamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai
karna hi paDega zabt-e-alam pine hi paDenge ye aansu
fariyaad-o-fughan se ai nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai
jo aa ke ruke daman pe 'saba' wo ashk nahin hai pani hai
jo ashk na chhalke aaankhon se us ashk ki qimat hoti hai
Ghazal
Gulshan ki faqat phulon se nahin kanTon se bhi zinat hoti hai
Saba Afghani