gulshan ho nigahon mein to jannat na samajhna
dam-bhar ki inayat ko mohabbat na samajhna
kya shai hai mata-e-gham-o-rahat na samajhna
jina hai to jine ki haqiqat na samajhna
ho KHair tere gham ki ki hum ne tere gham se
sikha hai masarrat ko masarrat na samajhna
nisbat hi nahin koi mohabbat ko KHirad se
ai dil kabhi mafhum-e-mohabbat na samajhna
ye kis ne kaha tum se ki rudad-e-wafa ko
sun kar bhi samajhne ki zarurat na samajhna
virani-e-mahaul ko barbaadi-e-dil ko
har daur mein aasar-e-mohabbat na samajhna
sar KHam ho agar maslahat-e-waqt ke aage
is jabr-e-musalsal ko ibaadat na samajhna
dekhe jo tumhein koi mohabbat ki nazar se
lillah 'shakil' us ko mohabbat na samajhna
Ghazal
Gulshan ho nigahon mein to jannat na samajhna
Shakeel Badayuni