اردو हिंदी
Gulshan hai usi ka nam agar hairan hon bayaban kya hoga | Shaahi Shayari
gulshan hai usi ka nam agar hairan hon bayaban kya hoga

Ghazal

Gulshan hai usi ka nam agar hairan hon bayaban kya hoga

Anand Narayan Mulla

;

gulshan hai usi ka nam agar hairan hon bayaban kya hoga
hangam-e-bahaaran jab ye hai anjam-e-bahaaran kya hoga

ye jang to laDna hi hogi har barg se chahe KHun Tapke
kanTon se jo gul Dar jaega dara-e-gulsitan kya hoga

ulfat ko miTane ke dar pe duniya aur main is soch mein hun
ulfat na rahegi jab baqi KHwab-e-dil-e-insan kya hoga

main dard bhi tum se ji lunga tum mere liye kuchh gham na karo
mana ki pareshan dil hoga aisa bhi pareshan kya hoga

jis hath mein hai shamshir-o-tabar kya us se umid-e-barg-o-samar
jo shaKH-e-nasheman toDega memar-e-gulistan kya hoga

aawaz-e-zamir apni sun kar 'mulla' ne bana li rah-e-amal
ye fikr kabhi us ko na hui andaz-e-harifan kya hoga