اردو हिंदी
Gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga | Shaahi Shayari
gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga

Ghazal

Gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga

Anand Narayan Mulla

;

gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga
hangam-e-bahaaran jab ye hai anjam-e-bahaaran kya hoga

saqi ke dayar-e-rahmat mein hindu-o-musalman kya hoga
is bazm-e-pak-nihadan mein aaluda-e-iman kya hoga

ye jang to laDna hi hogi har barg se chahe KHun Tapke
kanTon se jo gul Dar jaega dara-e-gulsitan kya hoga

ulfat ko miTane ke dar pe duniya aur main is soch mein hun
ulfat na rahegi jab baqi KHwab-e-dil-e-insan kya hoga

main dur bhi tum se ji lunga tum mere liye kuchh gham na karo
mana ki pareshan dil hoga aisa bhi pareshan kya hoga

jis hath mein hai shamshir-o-tir kya us se umid-e-barg-o-samar
jo shaKH-e-nasheman toDega memar-e-gulistan kya hoga

kis shai pe abhi hum jashn karen har-su kanTe kuDa-karkaT
kuchh rang-e-chaman aae to sahi ghure pe charaghan kya hoga

jo tishna-labon ke haq ke liye saqi se laDe wo rind kahan
jo dast-o-dahan ka KHugar hai wo dast-o-gareban kya hoga

saqi ki ghulami kar lega aur wo bhi kuchh qatron ke liye
nadan sahi mulla lekin itna bhi wo nadan kya hoga

aawaz-e-zamir apni sun kar 'mulla' ne bana li rah-e-amal
ye fikr kabhi us ko na hui andaz-e-harifan kya hoga