اردو हिंदी
Gulshan gulshan shoala-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali | Shaahi Shayari
gulshan gulshan shoala-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali

Ghazal

Gulshan gulshan shoala-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali

Asghar Saleem

;

gulshan gulshan shoala-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali
harf-e-junun ki band-e-giran ki jurm-o-saza ki baat chali

zindan zindan shor-e-junun hai mausam-e-gul ke aane se
mahfil mahfil ab ke baras arbab-e-wafa ki baat chali

ahd-e-sitam hai dekhen hum aashufta-saron par kya guzre
shahr mein us ke band-e-qaba ki rang-e-hina ki baat chali

ek ho diwana ek ne sar teshe se phoD liya
kaise kaise log the jin se rasm-e-wafa ki baat chali

TuT gain naghmon ki tanaben sher ke KHeme rakh hue
bazm-e-suKHan mein jab bhi 'salim' is shoala-nawa ki baat chali