اردو हिंदी
Gulshan-e-jag mein zara rang-e-mohabbat nin hai | Shaahi Shayari
gulshan-e-jag mein zara rang-e-mohabbat nin hai

Ghazal

Gulshan-e-jag mein zara rang-e-mohabbat nin hai

Daud Aurangabadi

;

gulshan-e-jag mein zara rang-e-mohabbat nin hai
bulbul-e-dil kun kisi sath ab ulfat nin hai

aashnai seti mardum ke hun az bas bezar
ruKH-e-darpan ki taraf chashm kun raghbat nin hai

kya ajab hai jo diya jaan ko yakbar patang
ta-sahar shama kun jalne seti fursat nin hai

kyun gareban kun kiya chaak zi-sar-ta-daman
gul kun bulbul sun agar tarz-e-murawwat nin hai

mujh kun bawar nahin paigham-e-zabani qasid
kya sabab hai ki tere hath kitabat nin hai

muntaKHab kar ke waraq dil pe likhe hain ahbab
garche zahir mein mere sher ki shohrat nin hai

na-tawani sati barja hai alamat na karo
rang-e-'daud' kun parwaz ki taqat nin hai