gulshan bhi sajae hain is ne ye jhalka hai shamshir mein bhi
insan ke lahu ka khel hua taKHrib mein bhi tamir mein bhi
jo farq hai wo hai hathon ka jo shauq-e-amal mein baDhte hain
yun ek hi naghma ek taDap hai saz mein bhi shamshir mein bhi
chun chun ke KHirad ne nocha hai phulon ki qabaon ko lekin
kuchh daman salim rah hi gae is sorish-dar-o-gir mein bhi
ye sabr ki talqin aur TuTe TuTe jumle bahki satren
jo tum ne chhupana chaha tha wo chhup na saka tahrir mein bhi
sab apni tarah se karte hain jine ke jatan par kya kije
tadbir nahin chalti aksar is kar-gah-e-tadbir mein bhi
ye sadgi jo rangin bhi hai ye KHamushi jo taqrir bhi hai
wo ek tarah se lagte hain tahrir mein bhi taswir mein bhi

Ghazal
Gulshan bhi sajae hain isne ye jhalka hai shamshir mein bhi
Mushtaq Naqvi