gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho
kahin to bahr-e-KHuda aaj zikr-e-yar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale
baDa hai dard ka rishta ye dil gharib sahi
tumhaare nam pe aaenge gham-gusar chale
jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aaqibat sanwar chale
huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab
girah mein le ke gareban ka tar tar chale
maqam 'faiz' koi rah mein jacha hi nahin
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale
Ghazal
Gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
Faiz Ahmad Faiz