اردو हिंदी
Gulon ki chah mein tauhin-e-barg-o-bar na kar | Shaahi Shayari
gulon ki chah mein tauhin-e-barg-o-bar na kar

Ghazal

Gulon ki chah mein tauhin-e-barg-o-bar na kar

Ali Jawwad Zaidi

;

gulon ki chah mein tauhin-e-barg-o-bar na kar
bhare chaman mein ye saman-e-intishaar na kar

KHizan riyaz-e-chaman hai KHizan gudaz-e-chaman
KHizan ka Dar ho to phir KHwahish-e-bahaar na kar

bas ek dil hai yahan waqif-e-nasheb-o-faraaz
wafa ki rah mein rahbar ka intizar na kar

hujum-e-gham mein tabassum ka khel dekh liya
main kah raha tha mere gham ka e'tibar na kar

kaha ye ishq se dar-o-salib-e-zindan ne
majal ho to meri rah iKHtiyar na kar

ye taza taza qafas kya KHizan se kuchh kam hain
hujum-e-gul hi se andaza-e-bahaar na kar

nasim-e-subh unhen muskura to lene de
abhi gulon se koi zikr-e-nagawar na kar

udhar har ek nazar mein hai hasraton ka julus
idhar ye hukm-e-haya hai nigahen chaar na kar

ye puchhna hai kisi din janab-e-'zaidi' se
ki aap ne to kaha tha kisi se pyar na kar