اردو हिंदी
Gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki | Shaahi Shayari
gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki

Ghazal

Gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki

Riyaz Khairabadi

;

gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki
ye Daliyan hain ki hain Doliyan hasinon ki

ye aastinen nahin hain chuni hui zalim
balaen li hain nigahon se aastinon ki

kisi ke jalwe sar-e-arsh chhup nahin sakte
ki dur rasan hain nigahen buland binon ki

pas-e-fana bhi na KHali rahen ye qasr-e-rafia
na hon makin to qabren rahen makinon ki

kis intiha ki nazakat hai mere sheron mein
nazar lage na kahin un ko nukta-chinon ki

jo nind aae to yun aae maut aae to yun
hamare samne shaklen hon mah-jabinon ki

hum apne mulk-e-suKHan ko wasia karte hain
hamein talash hai har-dam nai zaminon ki

unhen gharaz meri baaten khaDe khaDe sun len
sunenge baiTh ke wo apne ham-nashinon ki

kahan wo chandni raaten wo chand ke TukDe
na ab wo hum hain na shaklen hain mah-jabinon ki

utarte hain nae mazmun jo aasman se 'riyaz'
talash rahti hai hum ko nai zaminon ki