gulon ke chehra-e-rangin pe wo nikhaar nahin
bahaar aai magar aalam-e-bahaar nahin
jo hath aata hai daman to chhoD deta hun
junun-nawaz abhi mausam-e-bahaar nahin
kisi ki yaad ka aalam na puchhiye mujh se
kabhi qarar hai dil ko kabhi qarar nahin
ye bankpan ye ada ye shabab ka aalam
tum aa gae to kisi ka ab intizar nahin
bahaar par bhi KHizan hi ka rang ghaalib hai
hawa zamane ki gulshan ko sazgar nahin
hamare samne wo hain kahin ye KHwab na ho
ab apni aankhon pe bhi hum ko eatibar nahin
KHud aa gae hain simaT kar nigah mein jalwe
visal-e-dost hai ye ranj-e-intizar nahin
mera mazaq uData hai aaina lekin
meri haqiqat-e-gham us pe aashkar nahin
hamari aabla-pai ka faiz kya kahiye
wo kaun sa hai bayaban jo lala-zar nahin
buton ko puj raha hai tere tasawwur mein
gunah kar ke bhi 'faizi' gunahgar nahin
Ghazal
Gulon ke chehra-e-rangin pe wo nikhaar nahin
Faizi Nizam Puri