gulon ka rang tapish KHushbuen samundar khinch
kuchh is tarah se meri aarzu ka paikar khinch
nikal hi jae na dam apna aah-e-sozan se
zaban pe lafz to rakh is tarah na tewar khinch
aTak raha hai mera dam nikal na paega
sitam-shiar jigar se mere ye KHanjar khinch
mahaz-e-jang pe teri shikast aaKHir hai
hisar kar le KHud apna tamam lashkar khinch
kai sitare khinche aaenge salami ko
tu is jagah se zara haT ke apna mehwar khinch
tujhe to khinch na pai hayat ki 'farhat'
jo tujh se ho sake ye zindagi ka patthar khinch
Ghazal
Gulon ka rang tapish KHushbuen samundar khinch
Farhat Nadir Rizwi