gulabi honTh ye qashqa tumhaara
mujhe bhane laga chehra tumhaara
labon ko paD gai aadat labon ki
bahut mahnga paDa bosa tumhaara
makan-e-jism yun to Dah gaya par
qayamat Dha raha malba tumhaara
main jab bhi sochta hun KHud-kushi ki
bachata hai mujhe chehra tumhaara
hamein bichhDe hue arsa hua par
abhi tak dil mein hai nashsha tumhaara

Ghazal
Gulabi honTh ye qashqa tumhaara
Raghunandan Sharma