gulab hath mein ho aankh mein sitara ho
koi wajud mohabbat ka istiara ho
main gahre pani ki is rau ke sath bahti rahun
jazira ho ki muqabil koi kinara ho
kabhi-kabhaar use dekh len kahin mil len
ye kab kaha tha ki wo KHush-badan hamara ho
qusur ho to hamare hisab mein likh jae
mohabbaton mein jo ehsan ho tumhaara ho
ye itni raat gae kaun dastaken dega
kahin hawa ka hi us ne na rup dhaara ho
ufuq to kya hai dar-e-kahkashan bhi chhu aaen
musafiron ko agar chand ka ishaara ho
main apne hisse ke sukh jis ke nam kar Dalun
koi to ho jo mujhe is tarah ka pyara ho
agar wajud mein aahang hai to wasl bhi hai
wo chahe nazm ka TukDa ki nasr-para ho
Ghazal
Gulab hath mein ho aankh mein sitara ho
Parveen Shakir