gulab-e-surKH se aarasta dalan karna hai
phir ek sham-e-visal-angi tujhe mehman karna hai
siwa tere har ek shai ko haTa dena hai manzar se
aur is ke baad KHud ko be-sar-o-saman karna hai
main apna dasht apne sath le kar ghar se nikla hun
fana karna hai KHud ko aur alal-ailan karna hai
wafa ke goshware mein mera pahla KHasara tu
tere hi nam par darj aaKHiri nuqsan karna hai
main teri bargah mein naqd-e-jaan tak nazr kar aaya
to kya kuchh aur bhi mujh ko ada tawan karna hai
'hasan' ko bewafa kahne mein dukh to hoga tujh ko bhi
magar ye kar-e-mushkil tu ne meri jaan karna hai
Ghazal
Gulab-e-surKH se aarasta dalan karna hai
Hasan Abbas Raza