gulab-chehre pe shab ka eajaz bolta hai
wo chup hai lekin nazar ka andaz bolta hai
main jaise KHushbu ki barishon main naha raha hun
hawa ke honTon se koi gul-baz bolta hai
mujhi mein raushan charagh-e-naghma magar abhi tak
mujhe guman hai ki parda-e-saz bolta hai
pukarti hai koi sada mujh ko dasht-e-jaan se
ye tu hai ya mera wahm-e-awaz bolta hai
parind har chand qaid to ho gaya hai lekin
har ek bun-e-mu se josh-e-parwaz bolta hai
Ghazal
Gulab-chehre pe shab ka eajaz bolta hai
Murtaza Ali Shad