gul yaad na amwaj-e-nasim-e-sahari yaad
kuchh bhi nahin juz aalam-e-be-baal-o-pari yaad
KHurshid-e-sahar aariz-e-mahtab ka aalam
nazron ko abhi tak hai teri jalwagari yaad
su-e-haram-o-dair kabhi ruKH na karenge
jin ko mere saqi ki hai rangin-nazari yaad
jalwon ka taqaza nahin karti nazar un ki
rahti hai jinhen husn ki diwana-gari yaad
ye waqt ba-har-haal guzar jaega lekin
rah jaegi aahon ki hamein be-asari yaad
main wo hun ki parde mein tujhe dekh chuka hun
shayad ho tujhe meri wasia-un-nazari yaad
mai-KHana tha aur shaghl-e-mai-nab tha 'shair'
ab tak hai mujhe daman-e-zahid ki tari yaad

Ghazal
Gul yaad na amwaj-e-nasim-e-sahari yaad
Shaer Fatahpuri