gul-o-saman ki tarah dil mein hans rahe hain hum 
ye aur baat ba-zahir bujhe bujhe hain hum 
koi bhi wahima gumrah kar nahin sakta 
tere KHayal ki zanjir mein bandhe hain hum 
kabhi to uljha kiye kaise kaise logon se 
kabhi to aise hua KHud se laD paDe hain hum 
nigar-KHane mein taswir-e-KHasta-tar ki tarah 
kisi ke samne kab se saje hue hain hum 
kiye hain auron pe tanqid-o-tabsare lekin 
KHud apna jaeza ab tak na le sake hain hum 
hamesha aap ko samjha ki aap apne hain 
hamesha aap ne samjha ki dusre hain hum 
'kamal' hum se KHushamad kisi ki ho na saki 
is e'tibar se mashhur sar-phire hain hum
        Ghazal
Gul-o-saman ki tarah dil mein hans rahe hain hum
Kamal Jafari

