gul ne KHushbu ko taj diya na raha
KHud se KHud ko kiya juda na raha
raat dekhe safar ke KHwab bahut
pau phaTi jab to hausla na raha
qafila us ke dam-qadam se tha
chal diya wo to qafila na raha
rabt us ka zaman se kya rahta
jab zamin hi se silsila na raha
tark kar KHamushi ka maslak sun
ho gaya jo bhi be-sada na raha
umr bhar us ne bewafai ki
umr se bhi wo ba-wafa na raha
aankh kholi to duriyan thin bahut
aankh michi to fasla na raha
kis ki KHushbu ne bhar diya tha use
us ke andar koi KHala na raha
Ghazal
Gul ne KHushbu ko taj diya na raha
Wazir Agha