gul nahin KHar samajhte hain mujhe
sab giran-bar samajhte hain mujhe
hain andhere bhi gurezan mujh se
chashm-e-bedar samajhte hain mujhe
meri peshani pe mehrab nahin
wo gunahgar samajhte hain mujhe
daulat-e-dard mera sarmaya
kyun wo nadar samajhte hain mujhe
dur baiThe hain meri mahfil se
wajh-e-azar samajhte hain mujhe
chaara-gar bhi hain gurezan mujh se
tera bimar samajhte hain mujhe
kya kahun un se maal-e-ulfat
jo teri haar samajhte hain mujhe
meri ghurbat nahin khulti mujh par
log zardar samajhte hain mujhe
mera isbaat mohabbat hai meri
aur wo inkar samajhte hain mujhe
main nahin bazm se jaane wali
ahal-e-darbar samajhte hain mujhe
kab samajhna wo mujhe chahte hain
kar-e-dushwar samajhte hain mujhe
kyun 'sahar' haal sunaun un ko
mere gham-KHwar samajhte hain mujhe
Ghazal
Gul nahin Khaar samajhte hain mujhe
Shaista Sahar