gul muraqqa hain tere chaak garebanon ke
shakl mashuq ki andaz hain diwanon ke
na rukenge dar-o-diwar se zindanon ke
KHud-baKHud panw uThe jate hain diwanon ke
peng wahshat mein baDhe hain tere diwanon ke
ab bayaban bhi unhen sahn hain zindanon ke
ek kya jin ke har ek zarre mein gum hon sau hashr
hum bagule bane aise kai maidanon ke
kaba-o-dair mein hoti hai parastish kis ki
mai-parasto ye koi nam hain mai-KHanon ke
kuchh is andaz se aa baiThe hain wo shama ke pas
dekh kar dur se par jalte hain parwanon ke
le gaya aap ke diwanon ko sauda-e-bahaar
dar-o-diwar hain TuTe hue zindanon ke
jam hai tauba-shikan tauba meri jam-shikan
samne Dher hain TuTe hue paimanon ke
hath kyun khinch liya pher ke KHanjar tu ne
sar jagah se nahin uThte hain giran-jaanon ke
dar se baDhne nahin deta hai mujhe zauq-e-sujud
main hun naqsh-e-kaf-e-pa hain teri darbanon ke
nahin ginti main magar bazm-e-suKHan hai raushan
aaj main shama hun majmea mein suKHan-danon ke
qatre hain kausar-o-tasnim kaf-e-saqi mein
KHum-e-aflak to paimane hain mai-KHanon ke
wusat-o-zat mein gum wahdat-o-kasrat hai 'riyaz'
jo bayaban hain wo zarre hain bayabanon ke
wah kya nama-e-amal hain diwanon ke
ki farishte liye TukDe hain garebanon ke
hosh uDte hue dekhe nahin insanon ke
lutf mai-KHanon mein aate hain pari-KHanon ke
naqsh-e-pa rah nahin sakte tere diwanon ke
ai junun sahn bahut tang hai zindanon ke
par-e-parwaz bane KHud sharar-e-shama kabhi
sharar-e-shama bane par kabhi parwanon ke
apne kuche mein jo dekha to wo hans kar bole
chhanne wale kahan aae bayabanon ke
zikr kya ahl-e-junun ka ki jab aati hai bahaar
wo to wo rang badal jate hain zindanon ke
aaj but baiThe hain taqdir ke malik ban kar
ab jo likkha ho muqaddar mein musalmanon ke
baam tak tere zariya hai rasai ki yahi
dur se jhuk ke qadam lun tere darbanon ke
un ke bikhre hue gesu nahin haTte ruKH se
aaj nikle hain wo jhurmuT mein nigahbanon ke
sath walon mein mere kohkan-o-qais bhi hain
mere qisse nahin TukDe koi afsanon ke
chashm-e-yaqub bane halqa-e-zanjir ki aankh
kabhi taqdir se din phirte hain zindanon ke
ghairat-e-haq ko ho kya josh jab aamal ye hain
kam hai jo kuchh ho muqaddar mein musalmanon ke
dur se dekh ke phirna wo mera ulTe panw
uf wo badle hue tewar tere darbanon ke
mah-o-anjum se Tapakta hai yahi raaton ko
un mein TuTe hue saghar bhi hain mai-KHanon ke
inhen Thukraate chalo hashr mein lutf aaega
inhin qabron mein hain mare hue armanon ke
nikli jati hai zamin panw ke niche se 'riyaz'
kyun dua ko na uThen hath musalmanon ke
Ghazal
Gul muraqqa hain tere chaak garebanon ke
Riyaz Khairabadi