gul ki KHushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah
dil pareshan hai gard-e-ram-e-ahu ki tarah
jo gul-andam makinon ko taraste hain hanuz
shahar mein kitne khanDar hain mere pahlu ki tarah
zulf-e-giti ko bhi aaina-o-shana mil jae
tum sanwar jao jo aaraish-e-gesu ki tarah
raqs karta hai zar-o-sim ki jhankar pe fan
marmarin farsh pe bajte hue ghunghru ki tarah
aaj bhi shobda-e-ahl-e-hawas hai insaf
dast-e-baqqal mein purkar taraazu ki tarah
mahsharistan-e-sukun hai meri hasti 'mahir'
kisi shahbaz ke TuTe hue bazu ki tarah
Ghazal
Gul ki KHushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah
Iqbal Mahir