gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai
sarw hai jun shama tis par faKHta parwana hai
roz o shab ya nauha ya zari hai ya aah-o-fughan
ya ilahi ye koi dil hai ki matam-KHana hai
tan kar us ki tegh ke aage hua hai sar-ba-kaf
hai qayamat hai ghazab ye dil hai ya diwana hai
bulbul-e-taswir ki manind said-e-dil ke tain
ne hawa uDne ki ne parwa-e-ab-o-dana hai
ek haalat par na dekha us ko hum ne ek aan
gah gul o gah bulbul o gah shama o gah parwana hai
moatakif ho shaiKH apne dil mein masjid se nikal
sahib-e-dil ki baghal mein dil ibaadat-KHana hai
mai-kasho mujh ko tumhaari bazm ki hasrat nahin
pas mere dida o dil shisha o paimana hai
KHwab mein the jab talak tha dil mein duniya ka KHayal
khul gain aanhken to dekha hum ne sab afsana hai
sher ustadana o 'hatim' hai be-bakana-waza
taba aazadana o auqat darweshana hai
Ghazal
Gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai
Shaikh Zahuruddin Hatim