gul ke hone ki tawaqqo pe jiye baiThi hai
har kali jaan ko muTThi mein liye baiThi hai
kabhi sayyaad ka khaTka hai kabhi KHauf-e-KHizan
bulbul ab jaan hatheli pe liye baiThi hai
tir-o-shamshir se baDh kar hai teri tirchhi nigah
saikDon aashiqon ka KHun kiye baiThi hai
tere ruKHsar se tashbih use dun kyunkar
shama to charbi ko aankhon mein diye baiThi hai
tishna-lab kyun rahe ai saqi-e-kausar 'chanda'
ye tere jam-e-mohabbat ko piye baiThi hai
Ghazal
Gul ke hone ki tawaqqo pe jiye baiThi hai
Mah Laqa Chanda